kahan hai koi khuda ka khuda ke bandon mein ghira hua hun abhi tak ana ke bandon mein na koi samt muqarrar na koi ja-e-qarar hai intishaar ka aalam hawa ke bandon mein wo kaun hai jo nahin apni maslahat ka ghulam kahan hai bu-e-wafa ab wafa ke bandon mein khuda kare ki samaat se main rahun mahrum kabhi jo zikr ho mera riya ke bandon mein sazaen meri tarah hans ke jhelne wala nahin hai koi bhi ahd-e-saza ke bandon mein na aafiyat ki sahar hai na imbisat ki sham hun ek umr se sahra bala ke bandon mein sukhan shanas hai kitna ye puchh lun 'qaisar' nazar wo aae jo harf-o-nawa ke bandon mein