kahan hai shan-e-karimi hisab hota hai gunahgar to ab la-jawab hota hai teri janab mein jo baryab hota hai sukun nasib use be-hisab hota hai kabhi khalish hai kabhi iztirab hota hai ye dil ka aana bhi ji ka azab hota hai jo puchh leta hai arbab-e-fahm ka bhi mizaj kitab-e-zist mein aisa bhi bab hota hai ye hum se puchh ise joya-e-'aish kya jaane jahan mein gham bhi khushi ka jawab hota hai dayar-e-husn mein chashm-e-karam kahen jis ko khayal-o-khwab ki duniya ka khwab hota hai buto khuda to khud aata hai yaad sham-e-firaq kabhi jo had se siwa iztirab hota hai shua-e-mehr se jis ko lagi hui ho lagan mere liye to wahi aaftab hota hai mere mazaq ki duniya mujhe nahin milti mera usul kahan kaamyab hota hai jinhen ho tab-e-nazar bahr-e-did aa jaen hujum-e-hashr hai wo be-naqab hota hai usi pe ahl-e-nazar ki bhi aankh padti hai teri nigah mein jo intikhab hota hai rahe jo zist mein mahw-e-malal-e-nakaami wo na-murad kahin kaamyab hota hai har ek gunah pe rahmat hai maujzan us ki wahan karam hi gunah ka jawab hota hai ghamand kis liye is par kare koi 'khushtar' ye daur-e-zist ba-rang-e-habab hota hai