kab zamana sazgar-e-KHatir-e-na-saz tha

kab zamana sazgar-e-khatir-e-na-saz tha
kis ka dam bharte hamara dam hi jab dam-baz tha

kya bataun bazm ka un ki ajab andaz tha
aashna-e-raaz bhi na-ashna-e-raaz tha

apne matlab ki har ek sunta tha bazm-e-dahr mein
kis se kahte haal-e-dil apna koi hamraaz tha

hum hi hum the hum se thi duniya-e-ishrat ki bahaar
zindagi mein wo bhi din guzre hain jin par naz tha

wahshat-e-zauq-e-talab mein jab uthe badhte gae
kis ko daman-e-junun-e-shauq ka andaz tha

apni hasti mein ulajh kar dekhta kya khud-pasand
zarre zarre mein jahan ke zindagi ka raaz tha

be-piye bhi mai-kashon par be-khudi chhai rahi
ye nigah-e-saqi-e-badmast ka eajaz tha

wo bhi chup the dekh kar mera sukut-e-gham-nawaz
meri khamoshi ke aalam mein bhi koi raaz tha

kis ne duniya ko banaya kis ki duniya ban gai
yun to kahne ke liye har ek duniya-saz tha

hum hain ab aur ulfat-e-sayyaad asiri ka lihaz
ud gaya yak-lakht jo zor-e-par-e-parwaz tha

kal mohabbat ka nasha tha aur kaif-e-be-khudi
yani main tha aur surur-e-jalwa-gah-e-naz tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close