kahan hai wo tasalsul raushni ka yahi mear hai kya dosti ka koi apnon se yun ladta nahin hai sabab koi to hoga barhami ka yahan hathon mein ab sab ke hain patthar khulasa hai yahi diwangi ka yaqinan masala koi to hoga yahan shohra bahut hai aap hi ka bahut se tajrabe hote rahe hain kabhi bhi nam mat lo dosti ka karunga zarf ka sauda na 'nashtar' main jaisa hun rahunga aap hi ka