intiha-e-ishq ka is din tamasha dekhna tum mere gharqab hone ka nazara dekhna samne tufan hai aur dil mein hai azm-e-safar main samundar dekhta hun tum kinara dekhna chhin li khush-fahmiyon ne hum se jab binai bhi be-hisi is darja ho to aaina kya dekhna dastakon par dastaken hain har dar-e-ehsas par apni barbaadi ka na ho kuchh ishaara dekhna us ke kuche se nikal kar aa gae to phir 'nafis' har dayar-e-naz mein khun-e-tamanna dekhna