kahan hain sab ke sab fankar apne liye phirte hain jo pindar apne raqam tarikh mein shahkar apne hamesha hausle hathiyar apne parinde phadphada kar gir rahe hain sambhaalo gumbad-o-minar apne nahin das bis par mauquf hasti hain lakhon sar-ba-kaf tayyar apne hamein takhrib ke tane na dena jahan bhar ke hain sab meamar apne unhen kahte ho apne ghar ko jaen bhula baithe hain jo ghar-bar apne tumhaari sakhtiyan hain be-zaron par ye puchho the kahan zardar apne hamesha maut ke saudagaron se bhare hain kucha-o-bazar apne agar hai amn ki khwahish hatao hamare ghar se pahre-dar apne