kahan haTta hai nigahon se haTae hae

kahan hatta hai nigahon se hatae hae
wahi manzar ki jise dekh na pae hae

kya pata sari tamannaen dhuan ho gai hon
kuchh nikalta hi nahin dil se siwae hae

yaad aati hui ek shakl pe allah allah
dil mein uthti hui har tis pe hae hae

us gali ja ke bhi sajda na tumhein yaad raha
sirf nazren hi jhukae chale aae hae

sari mushkil hi nihan hai meri aasani mein
kaun ye khasta si diwar girae hae

rose ek taza chilam bhar ke mujhe de farhad
aur phir qais mere panw dabae hae

dil ke bekar dhadakne pe kahan khush the miyan
hum to phule na samae ba-sada-e-hae

jab wo jae to mujhe kuchh bhi na bhae 'jawwad'
aur jab aae to kuchh aae na jae hae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close