kahan hoga kidhar hoga dil-e-nakaam kya hoga khuda jaane mohabbat mein tera anjam kya hoga taba aazad paida kar dil-e-be-khauf paida kar jise dar mohtasib ka ho wo mai-asham kya hoga naya diwana hun mujh ko nai zanjir se bandho purana intishaar-e-zulf mera dam kya hoga pilana hi agar maqsud hai bhar bhar pilata ja hamari pyas ke aage ye khali jam kya hoga saf-e-akhir mein bhi labrez paimana mila hum ko karam saqi ka is se aur badh kar aam kya hoga badal jae jo subh-e-wasl se sham-e-judai to tumhein nuqsan aakhir gardish-e-ayyam kya hoga tumhein kyon fikr hai yaro tadapne do tadapne do tadapne ka main aadi hun mujhe aaram kya hoga 'jalal'-e-be-nawa zauq-e-sukhan-goi na gar badla to phir in be-maza sheron se tera nam kya hoga