main dhundhta hun kise bar-bar kya kahiye tadap tadap ke shab-e-intizar kya kahiye ye inqilab-e-zamana ye gardish-e-dauran bana hai dushman-e-jaan gham-gusar kya kahiye fareb-khurda-e-rahbar samajh sake ye raaz kisi se un ke siwa haal-e-zar kya kahiye chaman ke phul pe jis ka hai haq wahi bulbul qafas mein band hai waqt-e-bahaar kya kahiye ye had jahan mein hai apni siyah-bakhti ki bujha bujha hai charagh-e-mazar kya kahiye gham-e-hayat se fursat nahin hai ek lamha kisi se haal-e-gham-e-rozgar kya kahiye khizan-badosh gulistan-e-arzu mein 'jalal' kabhi to aa ke hai rahna bahaar kya kahiye