kahan hum rahe phir kahan dil rahega isi tarah gar tu muqabil rahega khuli jab girah band-e-hasti ki tujh se to uqda koi phir na mushkil rahega dil-e-khalq mein tukhm ehsan ke bo le yahi kisht-e-duniya ka hasil rahega hijab-e-khudi uth gaya jab ki dil se to parda koi phir na hael rahega na pahunchega maqsad ko kam-himmati se jo salik talabgar-e-manzil rahega na hoga tu aagah irfan-e-haq se gar apni haqiqat se ghafil rahega khafa mat ho 'bedar' andesha kya hai mila gar na wo aaj kal mil rahega