jo wo bahaar-e-azar-e-khubi chaman mein aata khiram karta sanobar-o-sarw har ek aa kar zarur us ko salam karta figar tegh-e-sitam ke ab tak karen hain nala ba-rang-e-bulbul qayamat ai gul ajab hi hoti tu gar kisi se kalam karta jo pata lazzat basan-e-saqi mai-e-mohabbat se teri zahid nikal haram se wo but-kade mein maqam apna mudam karta jo upri ru tujhe dikhata jamal apna to wohin naseh! hamare manind chhod ghar ko gali mein us ki qayam karta khayal us ke se itni fursat kahan ki fikr-e-sukhan karun main wagarna 'bedar' is ghazal ko qasida mein la kalam karta