kahan jae teri yaadon ki barish ki ghaDi hai

kahan jae teri yaadon ki barish ki ghadi hai
udasi sham ban kar dil ke aangan mein khadi hai

tajjub hai abhi se kaise himmat haar baithe
akeli sham hai aur raat bhi puri padi hai

nikal jaunga ek din teri yaadon ke sahar se
agarche jaanta hun aazmaish ye kadi hai

bichhad jaane ki ek begana-o-be-mehr saat
kisi khanjar ki surat aaj bhi dil mein gadi hai

suni hai dastan-e-ummat-e-marhum hum ne
bikharte motiyon ki aaj ek tuti ladi hai

aqidat mein haqiqat ka sunahri rang bharne
har ek firqe ne koi dastan apni gadhi hai

bhula dena 'hidayat' is qadar mushkil na hota
kisi ki yaad lekin baat par apni adi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close