silsila-ha-e-siyasat hain salasil toD de

silsila-ha-e-siyasat hain salasil tod de
but tarashe hain ye sab tu ne hi jahil tod de

qatl hona kuchh teri taqdir ka hissa nahin
apni qismat aap likh shamshir-e-qatil tod de

kyon phire dar dar bhala kasa gadai ka liye
chhod daryuza-gari ye rit sail tod de

kyon qasam khai hai tu ne dil jalane ki bhala
jaan kaffare mein le le ahd-e-baatil tod de

ho yaqin kaamil to manzil pas tere aaegi
raste mein jo bhi ho diwar hail tod de

bulbul-e-jamhur-e-maghrib ki kaniz-e-khub-ru
paon ki bedi hai ai nadan ye pael tod de

kashti-e-be-nuh ke patwar lahron se daren
ho rahega ek din ye hukm nazil tod de

ho gaya apne qafas se phir 'hidayat' pyar kyon
hai giraftar-e-fusun dil lauh aamil tod de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close