kahan ka nang raha aur aur kahan raha namus ulajh gai jo mohabbat mein dukhtar-e-taimus maza jo wasl ka chahe to bar-e-hijr utha phir intiqam ho aakhir ke tain kanar-o-bos majazi ho ki haqiqi sarih ishq ka nam latif tohfa piyara ajib nam urus mujhe bhi ishq ka hai maraz kya karun yaro mualaje se mere aajiz aaya jalinus dil hi mein 'qasim-ali' sham-e-ishq kar raushan bacha le baad-e-mukhalif se tan ka kar fanus