fasl-e-gul aai hai kal aur hi saman honge mere daman mein tere dast-o-gareban honge sab ye kafir hain hasinon ki na sun tu ai dil chaar din baad yahi dushman-e-iman honge kis tarah jaenge manea hai hamein khauf-e-mizaj zulf pur-kham hai to kuchh wo bhi pareshan honge girya anjam-e-tabassum hai na hans ai ghafil khun roenge wahi zakhm jo khandan honge yaad aaega pas-e-marg hamara ye kamal haal khul jaega jab khak mein pinhan honge khana-zadon ko kahan qaid-e-mohabbat se faragh hum wo bulbul hain yahin khak-e-gulistan honge daur-e-har-nakhl karenge sifat-e-gard 'nasim' hum pas-e-marg bhi qurban-e-gulistan honge