kahan kahan hai khuda jaane rabta dil ka dimagh se nahin hoga muqabla dil ka ilaj tere taghaful ne kar diya dil ka bahut dinon se dimagh aasman pe tha dil ka tum intizam karoge batao kya dil ka yahan to khud nahin malum muddaa dil ka ajib log hain ye dil ko kya samajhte hain tabib jism mein dhunda kiye pata dil ka bas ek tarz-e-bayan ki mili hai dad hamein suna ke dekh liya sab ko majra dil ka 'shujaa' dil ki kahani bas ab tamam karo bayan karne lage hain hama-shuma dil ka