kahan kahan se guzar raha hun main aandhiyon mein bikhar raha hun kisi bhi surat na chain paun ye kis tajassus mein mar raha hun main surkhiyon mein kahan se hota main hashiye ki khabar raha hun sabhon ko jaana hai par lekin main par jaane se dar raha hun na meri manzil na koi jada azal se gard-e-safar raha hun mujhe to marna tha gham mein 'fikri' main gham mein jal kar nikhar raha hun