tuti hui diwar ki taqdir bana hun main kaisa fasana hun kahan likkha hua hun koi bhi mere karb se aagah nahin hai main shakh se girte hue patte ki sada hun mutthi mein liye mazi o imroz ki kirnen main kab se nae daur ki chaukhat pe khada hun is shahr-e-pur-ashob ke hangama o shar mein zaitun ki dali hun kahin shakh-e-hina hun gawayya nahin lafzon ke maani se shanasa idrak ki sarhad pe main chup-chap khada hun simta to bana phulon ki khush-rang qabaen bikhra hun to khushbu ki tarah phail gaya hun main 'raaz' chamakta hua jhumar tha kisi ka ab shab ke samundar mein kahin dub gaya hun