kahan kho gae mere gham-khwar ab ki tanha hun chalne ko tayar ab kahan sar chhupaen pata hi nahin ki girne lagi ghar ki diwar ab tu munsif hai apna qalam rok le bacha lega mera hi kirdar ab ki aathon pahar mujh ko fursat nahin kahin kho gaya mera itwar ab mere khun mein rang-e-wafa dekh le mujhe le ke chal tu sar-e-dar ab main 'asghar' musafir kade kos ka ki apne hue mere aghyar ab