kahne aae the kuchh kaha hi nahin chal diye jaise kuchh suna hi nahin is qadar zulm ibn-e-adam par jaise us ka koi khuda hi nahin hum jama kar nigah baithe hain apni qismat ka dar khula hi nahin fikr aaghaz hi ki hai sab ko koi anjam sochta hi nahin tere maqtal mein aa gae aakhir aur kuchh hum ko rasta hi nahin wo tere naqsh-e-pa ko kya samjhe jis ka sajde mein sar jhuka hi nahin tu kitabon mein dhundhta kya hai ishq ki chaara-gar dawa hi nahin jis ko sine se hum laga lete hum ko aisa koi mila hi nahin aur ab ji ke kya karen 'asghar' ab to jine mein kuchh maza hi nahin