kahan kho gai ruh ki raushni bata meri raaton ki aawargi main jab lamhe lamhe ka ras pi chuka to kuchh aur jagi meri tishnagi agar ghar se niklun to phir tez dhup magar ghar mein dasti hui tirgi ghamon pe tabassum ki dali naqab to hone lagi aur be-pardagi magar jagna apni qismat mein tha bulati rahi nind ki jal-pari jo tamir ki kunj-e-tanhai mein wo diwar apne hi sar par giri hui barish-e-sang us shahr mein hamein bhi mila haqq-e-ham-saegi gizari hai kitnon ne is tarah umr bil-aqsat karte rahe khud-kushi koi waqt batla ki tujh se milun meri daudti bhagti zindagi jinhen sath chalna ho chalte rahen ghadi waqt ki kis ki khatir ruki mein jita to pai kisi se na dad mein haara to ghar par badi bhid thi hua hum pe ab jin ka saya haram thi un baadalon se kabhi dosti mujhe ye andhere nigal jaenge kahan hai tu ai mere suraj-mukhi nikale gae is ke mani hazar ajab chiz thi ek meri khamushi