zamin ke sare manazir se kat ke sota hun main aasman ke safar se palat ke sota hun main jama karta hun shab ke siyahi qatron ko ba-waqt-e-subh phir un ko palat ke sota hun talash dhup mein karta hun sara din khud ko tamam-raat sitaron mein bat ke sota hun kahan sukun ki shab-o-roz ghumna us ka zara zamin ke mehwar se hat ke sota hun tere badan ki khalaon mein aankh khulti hai hawa ke jism se jab jab lipat ke sota hun main jag jag ke raaten guzarne wala ek aisi raat bhi aati hai dat ke sota hun