kahan milega wo mujhse agar yahan bhi rahe

kahan milega wo mujh se agar yahan bhi rahe
meri dua hai ki wo khush rahe jahan bhi rahe

dil-e-kharab ye khwahish teri ajab hai ki wo
sitam bhi kam na kare aur mehrban bhi rahe

abhi zamin pe jannat nahin bani yaro
jahan ke qisse sunate ho hum wahan bhi rahe

raha hamesha hi saman mukhtasar apna
musafiron ki tarah hum rahe jahan bhi rahe

jo sath chalne ke bhi mustahiq na the 'basir'
kuchh aise log yahan mir-e-karwan bhi rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close