kahan nasib wo kaifiyyat-e-dawam abhi ki mai-kashi hai ba-qaid-e-subu-o-jam abhi hawas-o-hosh ko kahiye mera salam abhi junun ko aql se lena hai intiqam abhi na ja sakegi wahan tak nigah-e-am abhi mera mazaq bahut hai buland-baam abhi kuchh aur lijiye dar-o-rasan se kaam abhi junun ka josh hai phaila hua tamam abhi khushi kahan ki khushi ka nahin maqam abhi na meri subh abhi hai na meri sham abhi usi tarah se hai be-rabti-e-kalam abhi fughan bhi aai hai lab par to na-tamam abhi hai ahl-e-hosh ka kuchh aur hi payam abhi magar mujhe to hai diwana-pan se kaam abhi jahan mein aane ko aae to inqalab bahut badal saki na sahar se hamari sham abhi usi ko hasil-e-umr-e-wafa banana hai jo ek khalish si hai dil mein barae nam abhi yahan to din ko bhi tarikiyan barasti hain hamari subh se achchhi hai un ki sham abhi