zindagi kya hai ek manzar hai ret hai tishnagi hai kikar hai aap behad hasin hain lekin dil to yaqut ka bhi patthar hai ek taswir meri aankhon ki ek taswir mein samundar hai saya-e-atifat mein rahta hun gham tera rahaton se badh kar hai aap kyun der se khade hain yahan aaiye pas hi mera ghar hai kucha-e-zat mein bhatakta hun aap ka rasta to az-bar hai sansani aahaton se pahle thi khauf khamoshiyon ka mazhar hai ek taswir mein jiye hum log zindagi bhi ajib manzar hai main sitara-mizaj hun 'rahil' jagna hi mera muqaddar hai