kahan se aana hai har aadmi yahan tanha rula ke hum ko chala jaana hai kahan tanha yazid-e-asr ne ghera hai yun mujhe jaise muqable mein ho ek tere be-kaman tanha lage hain kheme wahin aaj karwanon ke gaya tha shahr mein thak kar jahan jahan tanha ye kaun rahta hai sae ki tarah sath mere rah-e-talab mein to main hun rawan-dawan tanha jo dekhiye mere hamdam hain mere sath magar utha raha hun main bar-e-gham-e-jahan tanha suno jo kahte hain sargoshiyon mein shahr ke log amir-e-shahr se kab main hun bad-guman tanha bujhao jald tumhaari bhi warna khair nahin kabhi jala hai chaman mein ek aashiyan tanha khalish kisi ka sahaara bane koi kyun kar yahan har ek ka hona hai imtihan tanha