chalo ki KHud hi karen ru-numaiyan apni

chalo ki khud hi karen ru-numaiyan apni
saron pe le ke chalen kaj-kulahiyan apni

sabhi ko par utarne ki justuju lekin
na baadban na samundar na kashtiyan apni

wo kah gaya hai ki ek din zarur aaunga
zara qarib se dekhunga duriyan apni

mere pados mein aise bhi log baste hain
jo mujh mein dhund rahe hain buraiyan apni

mujhe khabar hai wo meri talash mein hoga
main chhod aaya hun ek baat darmiyan apni

main bund bund ki khairaat kab talak mangun
samet laun samundar se sipiyan apni

mere kahe hue lafzon ki qadr-o-qimat thi
main apne kan mein kahne laga azan apni

karega sar wahi is dasht-e-be-karan ko 'amir'
jala ke aae jo sahil pe kashtiyan apni


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close