kahan talak kahun saqi ki la sharab to de na de sharab dubo kar koi kabab to de bujhega soz-e-dil ai girya pal mein aab to de digar hai aag mein duniya yun hi azab to de guzarne gar ye mere sar se itna aab to de ki sar pe charkh bhi dikhlai jun habab to de hazaron tishna jigar kis se hoenge sairab khuda ke waste tegh-e-sitam ko aab to de tumhaare matla-e-abru pe ye kahe hai khal ki aisa nuqta koi waqt-e-intikhab to de dar-e-qubul hai darban na band kar dar-e-yar dua-e-khair meri hone mustajab to de khule hai naz se gulshan mein ghuncha-e-nargis zara dikha to use chashm-e-nim-khwab to de bala se aap na aaen pe aadmi un ka tasalli aa ke mujhe waqt-e-iztirab to de hua bagule mein hai kushtagan-e-zulf ki khak ki baad-e-marg bhi malum pech-o-tab to de bala se kam na ho girye se mera soz-e-jigar bujha par un ki zara aatash-e-itab to de shahid kijiyo qatil abhi na kar jaldi thaharne mujh ko tah-e-tegh-e-iztirab to de shikar-e-basta-e-fitrak ko tere maqdur hua na ye bhi ki bosa sar-e-rikab to de dil-e-birishta ko mere na chhodo mai-khwaro jo lazzat us mein hai aisa maza kabab to de nashe mein hosh kise jo gine hisab kare jo tujh ko dena hain bose bila hisab to de jawab-e-nama nahin gar to rakh do nama-e-yar jo puchhen qabr mein aashiq se kuchh jawab to de rakhe hai hausla dariya kab ahl-e-himmat ka nahin ye itna ki bhar kasa-e-habab to de kahan bujhi hai tah-e-khak meri aatish-e-dil kaho hawa se hila daman-e-sahab to de khunuk dilon ki agar aah-e-sard dozakh mein pade to waqai ek bar aag dab to de karega qatl wo ai 'zauq' tujh ko surme se nigah ki tegh ko hone siyah-tab to de pahunch rahunga sar-e-manzil-e-fana ai 'zauq' misal-e-naqsh-e-qadam karne pa-turab to de