un se bargashta-nigahi ke siwa kuchh na mila aakhir-e-kar tabahi ke siwa kuchh na mila dil ko har-chand kureda magar us ki tah mein ek bahke hue rahi ke siwa kuchh na mila chand tare nigah-e-pas mein nikle be-nur aasmanon mein siyahi ke siwa kuchh na mila tajziya un ke iradon ka jo karne baithe ghair ki pusht-panahi ke siwa kuchh na mila ki 'munawar' ne dua jo bhi wo nakaam rahi ajr mein qahr-e-ilahi ke siwa kuchh na mila