kahan talak teri yaadon se takhliya kar len hum apne aap ko bhule hain aur kya kar len na ashk aankh mein aae na aankh bah nikle to kyun na jaanib-e-pahlu hi aaj wa kar len hazar rang qabaon pe dal rakkhe hain ajib khabt hai daman ko parsa kar len bade ghurur se ki hai zamir ne tauba jo tu mile kabhi tanha to phir khata kar len mere liye to ye duniya sarab jaisi hai ab is pe khak na dalen to aur kya kar len na dil rahe na mohabbat rahe na dard rahe chalo akele mein mil kar ye faisla kar len unhin ka nam hai dil ki har ek dhadkan par wo chahte hain ki sansen bhi ab bata kar len