bazm-e-dushman mein bulate ho ye kya karte ho aur phir aankh churaate ho ye kya karte ho baad mere koi mujh sa na milega tum ko khak mein kis ko milate ho ye kya karte ho hum to dete nahin kuchh ye bhi zabardasti hai chhin kar dil liye jate ho ye kya karte ho kar chuke bas mujhe pamal adu ke aage kyun meri khak udate ho ye kya karte ho chhinte pani ke na do nind bhari aankhon par sote fitne ko jagate ho ye kya karte ho ho na jae kahin daman ka chhudana mushkil mujh ko diwana banate ho ye kya karte ho mohtasib ek bala-nosh hai ai pir-e-mughan chat par kis ko lagate ho ye kya karte ho kaam kya dagh-e-suwaida ka hamare dil par naqsh-e-ulfat ko mitate ho ye kya karte ho phir isi munh pe nazakat ka karoge dawa ghair ke naz uthate ho ye kya karte ho us sitam-kesh ke chakmon mein na aana 'bekhud' haal-e-dil kis ko sunate ho ye kya karte ho