kahan talash karun ab ufuq kahani ka mizaj kaun samajhta hai bahte pani ka ghurub hote hi suraj ubharne lagta hai mere wajud mein sahra zarar-fishani ka wo ped jis mein faqat be-libas shakhen thin usi se kaam liya main ne saebani ka karun kahan se shurua aur kahan pe khatm karun sira hi milta nahin waqt ki kahani ka mujhe ginae gae wasf mere dushman ke ata kiya gaya mansab qasida-khwani ka bahaar surkh-qaba hai chaman sharar-ba-dosh hamare shahr mein mausam hai gul-fishani ka qasam thi abr ko bhi mehrban na hone ki mujhe bhi karna tha izhaar sakht-jaani ka qadam badhana mera wadi-e-tahayyur mein tilism tutna sahra-e-be-karani ka ye khidkiyan ye dariche nahin hain aankhen hain makan mein bhi hai ehsas be-makani ka wo gul-mizaj jo masruf-e-guftugu ho kabhi khayal aata hai dariyaon ki rawani ka wo tarjume ke liye us ke khal-o-khad na padhe jise hunar nahin aata hai tarjumani ka chalan se ho gaya bahar to aur kya karta libas utar diya main ne be-zabani ka utar ke harf ke baatin mein dekhna 'yawar' jo raqs dekhna ho shoala-e-maani ka