jis ko main chand samajhta tha daricha nikla

jis ko main chand samajhta tha daricha nikla
qaid-e-tanhai mein jine ka sahaara nikla

khud jo be-yar-o-madadgar pada tha sar-e-rah
wo mere waste ek ped ghanera nikla

dafatan dal liye main ne labon par tale
bazm-e-sad-rang mein jab zikr tumhaara nikla

huin khamosh jo atraf ki sab aawazen
mere andar se koi shor machata nikla

aasman ne mere raste mein bichhain aankhen
bich dariya mein mere waste rasta nikla

bas zara zawiya-e-did jo badla main ne
dushman-e-jaan bhi mera chahne wala nikla

yun laga jaise koi deta hai aawaz mujhe
paon rakhte hi main sahra ke udhar ja nikla

aalam-e-fikr-o-tajassus pe hai tari sakta
ek zarre ke hue tukde to kya kya nikla

jis ke sajde ko jabin kham hui khurshidon ki
batn se tira-shabi ke wo ujala nikla

raat baithi thi sar-e-rah bikhere gesu
apni diwar se main ban ke hayula nikla

aanch halki si jo lag jae pighal jata hai
tera ehsas bhi 'yawar' mere jaisa nikla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close