kahan taqat ye rusi ko kahan himmat ye german ko ki dekhe chashm-e-kaj se bhi meri shakh-e-nasheman ko wafa-dushman ye aalam ab to hai teri nawazish se ki rahm aane laga meri zabun-haali pe dushman ko na ab sayyaad ka khatka na ab gulchin ka andesha karam ne baghban ke phunk dala mere gulshan ko bhala in bijliyon ki shoala-samani ko kya kahiye jinhon ne tukde tukde kar diya ho dasht-e-aiman ko uthae hain ye fitne nargas-e-ghammaz ne warna na but se shaikh ko zid hai na kabe se barahman ko lagawat ka ye fan baad-e-sahar ne mujh se sikha hai gulon ko gudgudaya aur na lipte khar daman ko