kaman mein khinch hai pahle si aur na tir mein rang lahu bahega to aaega ju-e-shir mein rang junun-e-husn-parasti bhi de diya yarab ki pahle kam to nahin the mere khamir mein rang ye kis ke dar se mili hai sikandari mujh ko ye kaun dal gaya kasa-e-faqir mein rang mahal banaunga qaus-e-quzah ka tere liye thahar gae jo kabhi hath ki lakir mein rang tu khak hone se pahle ye ehtimam to kar amal bichha den rah-e-munkar-o-nakir mein rang judaiyon ke parinde unhen uda lenge hina se bandh to lun hath ki lakir mein rang tumhaare husn-e-talluq mein rang bharta hun bhare hain sher se waris ne jaise hir mein rang