kahan thi itni majal banda zarur wo koi aur hoga

kahan thi itni majal banda zarur wo koi aur hoga
tumhaara shikwa meri zaban par huzur wo koi aur hoga

tumhaari danishwari ke sadqe ki baat majzub ki na samjhe
jo ramz-e-irfan se aashna ho shuur wo koi aur hoga

mujhe to kuchh gham nahin hai waiz ki main to mast-e-mai-e-azal hun
sharab-e-kausar tumhein mubarak surur wo koi aur hoga

tumhaare didar ki badaulat har ek lahza hamein qayamat
ye dil to betab hai azal se subur wo koi aur hoga

bapa hai ek hashr dil mein paiham nahin hai mahshar ka hum ko kuchh gham
ye mana yaum-un-nushur hoga nushur wo koi aur hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close