jitne walo itna bata do sach-much jit tumhaari hai ya ab hum ne pyar ki bazi khud hi jaan ke haari hai garm hawa ne har goshe mein gul ko chaman ke jhulsa hai jo kyari shadab thi ab tak mausam us pe bhaari hai waqt hai sab ka sathi lekin waqt kisi ke sath nahin kal tak mera daur raha tha aaj tumhaari bari hai teri khatir dil hi dil mein bujh bujh kar rah jate hain warna har ek sans hamari shoala hai chingari hai