kahan wo ab lutf-e-bahami hai mohabbaton mein bahut kami hai chali hai kaisi hawa ilahi ki har tabiat mein barhami hai meri wafa mein hai kya tazalzul meri itaat mein kya kami hai ye kyun nigahen phiri hain mujh se mizaj mein kyun ye barhami hai wahi hai fazl-e-khuda se ab tak taraqqi-e-kar-e-husn o ulfat na wo hain mashq-e-sitam mein qasir na khun-e-dil ki yahan kami hai ajib jalwe hain hosh dushman ki wahm ke bhi qadam ruke hain ajib manzar hain hairat-afza nazar jahan thi wahin thami hai na koi takrim-e-bahami hai na pyar baqi hai ab dilon mein ye sirf tahrir mein dear sir hai ya janab-e-mukarrami hai kahan ke muslim kahan ke hindu bhulai hain sab ne agli rasmen aqide sab ke hain tin-terah na gyarahwin hai na ashtami hai nazar meri aur hi taraf hai hazar rang-e-zamana badle hazar baaten banae naseh jami hai dil mein jo kuchh jami hai agarche main rind-e-mohtaram hun magar ise shaikh se na puchho ki un ke aage to is zamane mein sari duniya jahannami hai