girafta-dil hain bahut aaj tere diwane khuda kare koi tere siwa na pahchane miti miti si umiden thake thake se khayal bujhe bujhe se nigahon mein gham ke afsane hazar shukr ki hum ne zaban se kuchh na kaha ye aur baat ki puchha na ahl-e-duniya ne ba-qadr-e-tishna-labi pursish-e-wafa na hui chhalak ke rah gae teri nazar ke paimane khayal aa gaya manus rahguzaron ka palat ke aa gae manzil se tere diwane kahan hai tu ki tere intizar mein ai dost tamam raat sulagte hain dil ke virane umid-e-pursish-e-gham kis se kijiye 'nasir' jo apne dil pe guzarti hai koi kya jaane