kahan wo dard mein mahsus aah karte hain jo log zakhm ke risne pe wah karte hain tamam din kisi rahmat ka saya rahta hai hum aadhi raat ko aisa gunah karte hain kisi guzishta zamane ka dukh musallat hai ki ab hansen bhi to hum log aah karte hain jinhen talab hai zamane ki un ko hasil ho tere faqir to bas teri chah karte hain main sochti hun ki phir jurm kis ke sar jae sabhi subut use be-gunah karte hain nazar na pher 'muqaddas' gada samajh ke hamein hamare nam ke charche to shah karte hain