dil ke virane ko mahfil ki taraf le chaliye kyun samundar ko na sahil ki taraf le chaliye aashna raaz-e-haqiqat se tabhi honge hum har haqiqat ko jo baatil ki taraf le chaliye us ki talwar ki tarif sunun main kab tak pahle mujh ko mere qatil ki taraf le chaliye maut manzil hai masiha ki to phir kya kahna zindagi ko usi mahfil ki taraf le chaliye kaba o dair ke gumrahon ka anjam hi kya yahi behtar hai unhen dil ki taraf le chaliye log mushkil ko jab aasani ki jaanib le jaen aap aasani ko mushkil ki taraf le chaliye sair-e-mahtab bahut khub sahi phir bhi 'niyaz' dil ko mahtab-e-shamail ki taraf le chaliye