kahan wo sim-tanan hain kahan wo gul-badnan aziz-az-dil-o-jaan hai hadis-e-lala-rukhan ye hum se puchho jalal-o-jamal kya shai hai hamare gird raha hai hujum-e-mah-washan meri nigah ko hai did ki kahan fursat hain yun to jalwe hi jalwe faza mein raqs-kunan sukun hai kar-gah-e-zist mein kahan yaro kashan-kashan liye phirti hai gardish-e-dauran yahan to sans bhi lene mein ehtiyat hai shart ba-qaul 'mir' ye hai kar-gah-e-gah-shisha-garan 'habab' apne watan se to dur hun lekin nigah mein hain sabhi dostan-e-zinda-dilan