kya yahan dekhiye kya wahan dekhiye aap hi aap hain ab jahan dekhiye ghar jala dekhiye wo dhuan dekhiye aag pahunchi kahan se kahan dekhiye dekhiye ta-kamar zulf ka shoabada uljhanen ban gain dastan dekhiye mujh ko malum hai aap masum hain jal gaya hoga yun hi makan dekhiye bujh gai shama parwane rukhsat hue lut gaya shauq ka karwan dekhiye ishq roz-e-azal se mata-e-yaqin husn hai aaj bhi bad-guman dekhiye aaiye mere dil mein bhi waqt-e-ghazal ek dariya-e-atish rawan dekhiye husn ki ehtiyat-e-hasin dekh kar ishq ka iltihab-garan dekhiye is tamashe ka jab aap ko shauq hai hum jalate hain apna makan dekhiye ismat-e-dil hai aur gham ka aatish-kada aag ban jaegi gulistan dekhiye ishtiyaq-e-jabin apna dekhenge hum aap virani-e-astan dekhiye aap ke samne aur tab-e-sukhan khush-bayan kitne hain be-zaban dekhiye tur hi ki tarah jal na jae kahin jalwa-bari se pahle makan dekhiye ramz-o-ima ghazal ki agar jaan hain aap 'tarzi' ka husn-e-bayan dekhiye