kahan ye chand raaton ka asar hai zamane par zamanon ka asar hai akele baith kar yun muskurana ye hathon mein kitabon ka asar hai mukammal ho raha hai ishq mera iradon se wafaon ka asar hai mohabbat gunjti rahti hai mujh mein ye barson ki khalaon ka asar hai sifat jitni bhi mujh ko hai ata wo tumhaare sath baaton ka asar hai jahan tak dekhti hun tum hi tum ho tasawwur par sarabon ka asar hai parindon se saba se khushbuon se mutassir hun kharabon ka asar hai achanak nim-shab wo yaad aae numayan do sitaron ka asar hai wasuq itna sawalon mein hamare tumhaare kuchh jawabon ka asar hai