visal-o-hijr ki hamein latafaten kahan milin

visal-o-hijr ki hamein latafaten kahan milin
sukun-e-qalb de saken wo rahaten kahan milin

kahan ke mah-o-najm ab ye dahshaton ka daur hai
khayal-e-husn yaad ki nazakaten kahan milin

ye un ka shahr-e-arzu bhi kitna zar-nigah hai
main dhundhti hi rah gai sadaqaten kahan milin

tabib bhi habib bhi shafiq bhi bahut mile
mile to dost har jagah rifaqaten kahan milin

wo sita hon ki daraupadi wo laila hon ki hir hon
wafa ke nam par unhen zamanaten kahan milin

hazar dastan likhen sukhan-taraaz lakh hon
raqam hon lauh-e-dil pe jo ibaraten kahan milin

sitam bhi hans ke sah liye qubul jurm kar liye
main be-qusur thi magar shahadaten kahan milin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close