kahani ishq ki yani yahi hai yahi hai aag aur pani yahi hai main karta aaya hun bas tere man ki mujhe lagta tha man mani yahi hai wo manzar khush hon jis se sare nazir badal jata hai hairani yahi hai tere rukh se nahin hatte kisi taur nigahon ki nigahbani yahi hai bahut mushkil tha us ko bhul jaana main mushkil mein hun aasani yahi hai