khuda ki kaun si hai rah behtar jaanta hai maza hai nekiyon mein kya qalandar jaanta hai bahut hamdard hain mere magar anjaan hain sab mere zakhmon ki haalat ko rafugar jaanta hai kisi se main nahin kahta magar meri gharibi meri diwaron ka ukhda plastar jaanta hai kabhi mandir kabhi masjid pe hai is ka basera dharam insaniyat ka bas kabutar jaanta hai sanam teri judai mein kata hai waqt mushkil gine din hijr mein kitne calendar jaanta hai kahin bhar pet roti to kahin se hath khali kisi ki kaisi hai niyyat gadagar jaanta hai main pyasa rah ke bhi minnat nahin karta kisi ki bahut khuddar hun main ye samundar jaanta hai kisi bhi waqt ye mazlum kar denge baghawat sitam ki ho chuki hai had sitamgar jaanta hai rahen arthi se bahar hath us ka qaul hai ye na kuchh bhi sath jaega sikandar jaanta hai tumhaari yaad mein raaten kati hain mushkilon se raha hun kitna main bechain bistar jaanta hai na hoga dusra paida jahan mein koi gandhi bahut achchhi tarah se porbandar jaanta hai yahan hai bhid mein bhi kis qadar har shakhs tanha tumhaare shahr ka har ek manzar jaanta hai 'ahad' jine ko to sab ji rahe hain is jahan mein magar is zist ka matlab sukhnawar jaanta hai