kahe hai kohkan kar fikr meri khasta-haali mein ilahi shukr karta hun teri dargah aali mein main wo pazhmurda sabza hun ki ho kar khak se sarzad yakayak aa gaya us aasman ki paemali mein tu sach kah rang pan hai ye ki khun ishq-bazan hai sukhan rakhte hain kitne shakhs tere lab ki lali mein bura kahna bhi mera khush na aaya us ko to warna tasalli ye dil-e-nashad hota ek gali mein mere ustad ko firdaus-e-ala mein mile jaga padhaya kuchh na ghair-az-ishq mujh ko khurd-sali mein kharabi ishq se rahti hai dil par aur nahin rahta nihayat aib hai ye is dayar-e-gham ke wali mein nigah-e-chashm pur-khashm-e-butan par mat nazar rakhna mila hai zahar ai dil is sharab-e-portugali mein sharab-e-khun bin tadpun se dil labrez rahta hai bhare hain sang-reze main nai is mina-e-khali mein khilaf un aur khuban ke sada ye ji mein rahta hai yahi to 'mir' ek khubi hai mashuq-e-khayali mein