safa-e-hairat-e-aina hai saman-e-zang aaKHir

safa-e-hairat-e-aina hai saman-e-zang aakhir
taghayyur aab-e-bar-ja-manda ka pata hai rang aakhir

na ki saman-e-aish-o-jah ne tadbir wahshat ki
hua jam-e-zumurrad bhi mujhe dagh-e-palang aakhir

khat-e-nau-khez nil-e-chashm zakhm-e-safi-e-ariz
liya aaina ne hirz-e-par-e-tuti ba-chang aakhir

hilal-asa tahi rah gar kushadan-ha-e-dil chahe
hua mah kasrat-e-sarmaya-andozi se tang aakhir

tadap kar mar gaya wo said-e-baal-afshan ki muztar tha
hua nasu-e-chashm-e-taziyat chashm-e-khadang aakhir

likhi yaron ki bad-masti ne maikhane ki pamali
hui qatra-fishani-ha-e-mai-baran-e-sang aakhir

'asad' parde mein bhi aahang-e-shauq-e-yar qaem hai
nahin hai naghme se khali khamidan-ha-e-chang aakhir


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close