kahe ko aise dhit the pahle jhuti qasam jo khate tum ghairat se aa jata pasina aankh na hum se milate tum haif tumhein fursat hi nahin hai warna kya kya hasrat thi haal hamara kuchh sun lete kuchh haal apna sunate tum nang hai milna aar takallum ek zamana aisa tha bazm mein apni hum ko bula kar izzat se bithlate tum hum wo nahin ya tum wo nahin tum hanste ho aur hum rote hain ya hichki ulti jati thi jitna hamein samjhate tum waza bhi koi shai hai aakhir dil ko 'asar' samjhana tha dar se kisi ke ek bar uth kar kash dobara na jate tum